Monday, 13 April 2015

Bollywood Wedding Songs

Le Jayenge Le Jayenge Dilwale Dulhaniya Le Jayeinge

Le Jayenge Le Jayenge
Dilwale Dulhaniyan Le Jayenge

Mehndi Laga Ke Rakhna

 Yeh kudiya nashe dee pudiya, yeh munde galee de gunde - (2)
 Nashe dee pudiya, galee de gunde
 O (mehndee lagake rakhna, dolee saja ke rakhna -2)
 Lene tujhe o goree, aayenge tere sajna
 Mehndee lagake rakhna, dolee saja ke rakhna
 O (sahra sajake rakhna, chehra chhupake rakhna -2)
 Yeh dil kee bat apne, dil me dabake rakhna
 Sahra sajake rakhna, chehra chhupake rakhna
 Mehndee lagake rakhna, dolee saja ke rakhna
 Udd udake teree julfe kartee hain kya ishare
 Dil thamke khade hain aashik sabhee kanware
 Chhup jaye saree kudiya ghar me sharam ke mare
 Ganv me aa gaye hain pagal shehar ke sare
 Najare jhukake rakhna, daman bachake rakhna - (2)
 Lene tujhe o goree, aayenge tere sajna
 Mehndee lagake rakhna, dolee saja ke rakhna
 Sahra sajake rakhna, chehra chhupake rakhna
 Mai ek jawan ladka, too ek hasin ladkee
 Yeh dil machal gaya toh mera kusur kya hai
 Rakhna tha dil peh kabu, yeh husn toh hai jadu
 Jadu hee chal gaya toh mera kusur kya hai
 Rasta hamara takna, darwaja khula rakhna - (2)
 Lene tujhe o goree, aayenge tere sajna
 Kuchh aur abb na kehna, kuchh aur abb na karna - (2)
 Yeh dil kee bat apne, dil me dabake rakhna
 Mehndee lagake rakhna, dolee saja ke rakhna
 Sahra sajake rakhna, chehra chhupake rakhna
 Shava shava..............

Mere Haathon Mein Nau-Nau Choodiyan Hain


Mere haathon mein nau-nau choodiyan hain
Thoda thehro sajan majbooriyan hain
Mere hathon mein nau-nau choodiyan hain
Thoda thehro sajan majbooriyan hain
Milan hoga abhi ik raat ki dooriyan hain
Mere haathon mein nau-nau choodiyan hai
Thoda thehro sajan majbooriyan hai
Lambi lambi te kaali-kaali raaton mein
Kaahe choodiyan khanakti hain haathon mein
Lambi lambi
Ho lambi lambi te kaali-kaali raaton mein
Kaahe choodiyan khanakti hain hathon mein
Na aana tu nigodi choodiyon ki baaton mein
Lambi lambi te kaali-kaali raaton mein
Le ja wapas tu apni baarat mundya
Main nahin jana, nahin jana tere saath mundya
Le ja wapas, ho le ja wapas tu apni baarat mundya
Main nahin jana, nahin jana tere sath mundya
Satayega jagayega tu saari raat mundya
Le ja wapas tu apni baarat mundya
Main nahin jana, nahin jana tere sath mundya
Aate jaate gali mein mera dil dhadke
Mere peeche pade hain aath-das ladke
Aate jaate gali mein mera dil dhadke
Mere peeche pade hain aath-das ladke
Ve le jaayein kisi din ye sapere naagin phadke
Tere peeche pade hain aath-das ladke
Haaye mere ghutnon se lambi, haaye meri choti hai
Haaye meri aankh shatranj ki goti hai
Mere ghutnon se lambi, meri choti hai
Meri aankh shatranj ki goti hai
Mere baabul na phir kehna abhi tu chhoti hai
Tere ghutnon se lambi, teri choti hai
Teri aankh shatranj ki goti hai
Mere darzi se aaj meri jang ho gayi
Kal choli silaai aaj tang ho gayi
Oye shava shava shava..
Mere darzi se aaj meri jang ho gayi
Kal choli silaai aaj tang ho gayi
Kare woh kya tu ladaki thi ab patang ho gayi
Tere darzi se aaj teri jang ho gayi
Mere saiyaan kiya ye bura kaam tune
Kore kagaz pe likh diya naam tune
Kahin ka bhi nahin chhoda mujhe haaye Ram tune
Mere sainya kiya ye bura kaam tune
Mere haathon mein nau-nau choodiyan hai
Thoda thehro sajan majbooriyan hai
Milan hoga abhi ik raat ki dooriyan hain
Mere hathon mein nau-nau choodiyan hai
Thoda thehro sajan majbooriyan hai
Shava.. oye shava.. oye shava shava shava
Shava.. oye shava.. oye shava shava shava.

Wednesday, 25 March 2015

Adinath Chalisa

Adinath Chalisa
Doha
Shish niva arihant ko sidhan karon pranam
upadyahe acharya ka le sukhkari naam
sarv sadhu aur saraswati jin mandir sukhkar
adinath bhagwan ko man mandir mein dhar
chaupaie
Jai Jai Adinath jin swami
den kal tehu jag mein nahin
Besh diganmbar dhar rahe voh
Karm ko tum mar rahe ho
Ho sarvgya baki sab janu
sari duniya ko pahachanoon
Nagar Ayodhya jo kahalaye
Raj Anadi ray batlaye
marudevi mata ke uday se
Chaitra vadi nav niko janme
Tumne jag ko gyan sikhaya
karm bhoomi ka bij uppaya
kalpvriksh jab laga vighatne
janata aayi dukhra kahane
sabka sanshaye jabhi bhagaya
surya chandra ka gyan karaya
kheti karna bhi sikhlaya
nyay dand adik samjhaya
tumne raj kiya niti ka
sabak aapse jag ne seekha
putra aapka bharat bataya
chakravarti jag mein kahalaya
bahu bali jo putra tumhare
sabse pahele moksh sidhare
suta aapki do batlayi
brahma aur sundri patlayi
unko bhi vidya sikhlayi
akshar aur ginti batlayi
ik din raj sabha ke andar 
ek apsara nach rahi kar
ayu bahut thodi thi baki
isliye veh thoda hi nachi
jab bhi mar gayi jise dekhkar
jhat aaya bairagya umarkar
beton ko jhat paas bulaya
raj pat sab mein batwaya
Chod sabhi jhanjhat sansari
van jane ki kari tyari
rav hazaron sath sidhaye
raj pat taj van ko dhaye
lekin jab tumne tap kina
sabne apna rasta leena
desh digambar taj kar sabne
jhal adi ke kapde pahene
bhook pyas se jab ghabraye
phal adik kha bookh mitaye
aur dharam is bhanti phailaye
jo ab duniya mein dikhlaye
che mahine tak dhyan lagaye
phir bhojan kar ni ko dhaye
bhojan vidhi jane nahin koi
kaise prabhu ka bhojan hoee
isi tarah bas chalte chalte
che mahine bhojan ko beete
nagar hastinapur mein aaye
raja som sheans bataye
yaad jab bhi pichla bhav aaya
tumko foran hi pargaya
ras gane ka tumne khaya
duniya ko updesh sunaya
tap kar ke val gyan upaya
moksh gaye sab jag harshaya
atishay nyukt tumhara mandir
ek hai nasal ganj andar
uska yah atishay batlaya
kasht kalesh ka hove safaya
man dung par daya dikhayi
jan jeere sab kat girayi
raj sabha mein man badaya
jain dharam jag mein phailaya
mujhpar bhi mahima dikhlayo
kast chandr ka door bhagayo
Doha
Nit chalis hi bar path kare chalis din
kheve dhoop apaar mar sal ganj mein ayie ke
hove kuber saman jan daridro hoye jo
jiske nahin santan naam vansh jag mein chale.

Tuesday, 24 March 2015

Bhajan - Tere Tan Mein Ram Man Mein Ram

Tere Tan Mein Ram Man Mein Ram

Tere Tan Mein Ram Man Mein Ram
Rom Rom Mein Ram Re
Ram Simarle Dhyan Lagade
Chod Jagat Ke Kaam Re
Bolo Ram Bolo Ram Bolo Ram Ram Ram

Maya Mein Tu Uljha Uljha Dar Dar Dhool Udaye
Ab Tadpa Kyon Man bhari Jab Maya Saath Chudaye
Der Nahin Hai Ab Bhi Bande Le Le Uska Naam Re
Bolo Ram Bolo Ram Bolo Ram Ram Ram

Tan Ke bheetar Paanch Lutere Dal Rahe hai Dera
Kam Krodh Mad Lobh Moh ne Tujhko Aisa Ghera
Bhool gaya Tu Ram Ratan Bhula Pooja Ka Kaam Re
Bolo Ram Bolo Ram Bolo Ram Ram Ram

Bachpan Beeta Khel Khel Mein Bhari Javani Soya
Dekh Budapa Soche Ab Tu Kya Paya Kya Khoya
Din To Beeta Daur dhoop Mein Dhal Jaye Na Shyam Re
Bolo Ram Bolo Ram Bolo Ram Ram Ram

Bhajan - Kabhi Kabhi Bhagwan Ko Bhi

Kabhi Kabhi Bhagwan Ko Bhi

Kabhi Kabhi Bhagwan ko Bhi Bhagton Se Kaam Pade
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Nav Chade

Avadh Chod Prabhu Van Ko Dhaye
Siya Ram Kalhan Ganga Tat Aaye
Kevat Man hi Man Harshaye
Ghar Bhaithe Prabhu Darshan Paye
Haath Jodkar Prabhu Ke Aage Kevat Magan Khade
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Nav Chade

Prabhu Bole Tum Nav Chalaoo
Par Hamein Kevat Pahunchaoo
Kevat Kahe Suno Hamari
Prabhu Charno Ki Maya Bhari
Mein Garib Naiya More Nari Na Hoye Pade
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Nav Chade

Kevat Daur Ke Jal Bhar Laya
Charan Dhoye Charna Mrit Paya
Ved Granth Jinke Yash Gaye
Kevat Unko Nav Chadaye
Barse Phool Gagan Se Aise Bhakt Ke Bhaag Bade
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Nav Chade

Chali Nav Ganga Ki Dhara
Siya Ram Lakahn Ko Paar Utara
Prabhu Dene lage Nav Utrai
Kavat Kahe Nahin Raghurai
Par Kiya Maine Tumko Ab Tu Mohe Paar Kare
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Nav Chade


Bhajan - Radha Rani Dhoondh Rahi Kisine Mera Shyam Dekha

Radha rani Dhoondh Rahi Kisine Mera Shyam Dekha

Radha Rani Dhoondh Rahi Kisine Mera Shyam Dekha

Radha Tere Shyam Ko Humne Vrindavan Mein Dekha
Gaiya Chadate Hoove Radha Tera shyam Dekha

Radha Tera Shyam Humne Mathura Mein Dekha
Ras Rachate Hoove Radha Tera Shyam Dekha

Bhajan - Kabhi Ram Banke Kabhi Shyam Banke

Kabhi Ram Banke Kabhi Shyam Banke

Kabhi Ram Banke Kabhi Shyam Banke
Chale Aana Prabhu Ji Chale Aana



Bhajan - Pag Ghunghroo Baandh Meera Nachi Re

Pag Ghunghroo Baandh Meera Nachi Re

Pag Ghunghroo Baandh Meera Nachi Re
Voh Toh Apne Narayan Ki Aap Hi Ban Gayi Dasi Re

Vish Ka Pyaala Rana Ne Bheja
Peevat Meera Hasi Re

Koi Kahi Meera Bhai Hai Baanvri
Koi Kahi Kul Nasi Re

Meera Ke Prabhu Girdhar Naagar
Voh Toh Ban Gayi Dasi Re