Monday, 23 March 2015

Bhajans

Ai Malik Tere Bande Hum


Ai Malik Tere Bande Hum
Aise Ho Hamare Karam
Neki Par chale
Aur Badi Se Tale
Taki Haste Hoove Nikle Dam
Ai Malik Tere Bande Hum

Bada Kamzor Hai Aadmi
Aur Lakhon Hai Usmein Kami
Par tu Jo Khada
hai Dayalo Bada
Teri Kirpa Se Dharti Thami
Diya Tune Hamein Jab Janam
Tuhi Jhelega Hum Sab Ke Gam
Neki Par chale
Aur Badi Se Tale
Taki Haste Hoove Nikle Dam
Ai Malik Tere Bande Hum


Yeh Andhera Ghana Cha Raha
Tera Insaan Ghabra Raha
Ho Raha Bekhabar
Kuch Na Aata Nazar
Sukh Ka Sooraj Chipa Ja Raha
Hai Teri Roushini Mein Jo Dam
Jo Amawas Ko Kar De Poonam
Neki Par chale
Aur Badi Se Tale
Taki Haste Hoove Nikle Dam
Ai Malik Tere Bande Hum

Jab Zulmoon Ka Ho Samna
Tab Tu Hi Hamein Thamna
Vo Burai Kare
Hum Bhalaee Kare
Nahin Badle Ki Ho Bhavna
Bad Uthe Pyaar Ka Har Kadam
Aur Mite Bair Ka Sab Bharam
Neki Par chale
Aur Badi Se Tale
Taki Haste Hoove Nikle Dam
Ai Malik Tere Bande Hum

Mere Ghar Ke Aage Sainath


Mere Ghar Ke Aage Sainath
Tera Mandi Ban Jaye
Jab Jab Khidki Kholoon
Tera Darshan ho Jaye

Jab arati ho teri mujhe ghanti sunayi de
Mujhe roj savere sainath teri soorat dikhayi de
Jab bhajan kare mil kar ras kano me ghul jaye

Jab khidki kholu to tere darshan ho jaye
Mere ghar ke aage sainath tere mandir ban jaye

Aate jaate baba tumko mai pranam karun
Jo mere layak ho kuch aisa kaam karun

Teri seva karne se meri kismat khul jaye
Jab khidki kholu to tere darshan ho jaye
Mere ghar ke aage sainath tere mandir ban jaye

Nazdik rahenge to aana jana hoga
Ab bhakton ka baba milna jhulna hoga
Sab saath rahe baba jaldi vo din aaye

Jab khidki kholu to tera darshan ho jaye
Mere ghar ke aage sainath tere mandhir ban jaye

Pag Ghunghroo Baandh Meera Nachi Re

Pag Ghunghroo Baandh Meera Nachi Re
Voh Toh Apne Narayan Ki Aap Hi Ban Gayi Dasi Re

Vish Ka Pyaala Rana Ne Bheja
Peevat Meera Hasi Re

Koi Kahi Meera Bhai Hai Baanvri
Koi Kahi Kul Nasi Re

Meera Ke Prabhu Girdhar Naagar
Voh Toh Ban Gayi Dasi Re

Kabhi Ram Banke Kabhi Shyam Banke

Kabhi Ram Banke Kabhi Shyam Banke
Chale Aana Prabhu Ji Chale Aana


Radha rani Doondh Rahi Kisine Mera Shyam Dekha

Radha Rani Doondh Rahi Kisine Mera Shyam Dekha


Kabhi Kabhi Bhagwan Ko Bhi

Kabhi Kabhi Bhagwan ko Bhi Bhagton Se Kaam Pade


Tere Tan Mein Ram Man Mein Ram

Tere Tan Mein Ram Man Mein Ram
Rom Rom Mein Ram Re

No comments:

Post a Comment